Saturday, October 29, 2005

My Hamd: Meray Rab

Meray Rab(c) 2005 Ahmed Arsalan
by A. Arsalan
Author's Note:
This hamd is dedicated to the people suffering in Kashmir and Pakistan after the earth quake.

meray rab meray rab meray rab
meray rab meray rab meray rab

charoan taraf
pehra tera
har shaey par
qabza tera

Teri azmat ka
Teri qudrat ka
Meri rooh nay bhee
Iqraar kiya

Aey meray khuda
Sikha mujhay jeena
Wo kya hai vaja
Kay tu nay paida kiya

Aey meray khuda
Mujh ko saleh bana
Mujh ko vo day zaban
Jo zikr tera karay
Jo shukr tera karay
Jo zalim say laray
Jo dukh baant lay
Mazloomoan kay
Yateemoan kay
Baywaaoan kay
Insaanoan kay
Baychaaroan kay
Sahara banay
Sahara banay

meray rab meray rab meray rab
meray rab meray rab meray rab

Meri duniya mein
Noor phir bhar day
Roshni kar day
Meree behnoan ko ab
Un ka haq day day
Un ki ismat ki mein
Khud hifazat karoon
Jab shayateen utthain
Mein unsay laroon
Jihad karoon
Apni iss jaan ka
Aik tohfa yun doon
Shayad issi tarah
Apnay tareek maazi ka
Kaffara karoon
Sahara banoon

Aey meray khuda
Sikha mujhay jeena
Wo kya hai vaja
Kay tu nay paida kiya