Zindagi(c) 2005 Ahmed Arsalan
by A. Arsalan
[X begin]
Kis say mein kahoon, apnay dil ki baat
Kis say mein kahoon, apnay dil ki baat
Dil ki sarhadain, meree kaaenaat
Kab ubal parain, saaray jazbaat
Kis ki chah mein, hoon mein darbadar
Aarahi hai yaad, kis ki iss qadar
Kis liyay hoon mein, itna bay qaraar
Uss bay wafa say hai, kyun mujh ko itna pyaar
[X end]
[CHORUS begin]
Uljhi hui yay zindagi
Chaaroan taraf aik aas si
Bas mein meray kuchh bhee nahi
Khud say meree begaangi
Farsoodgi kis kaam ki
Maahoal ki yay perwee
Chhoro sabhi paabandiyaan
Mil kay banaao rasmain naee
Kis kaam ki yay bandagi
Jis ki nahi manzil koi
Aazaadiyaan jab hoan nahi
Barbaad hai yay zindagi
Uljhi hui yay zindagi
Chaaroan taraf aik aas si
Bas mein meray kuchh bhee nahi
Khud say meree begaangi
Kyun meree yay taqdeer thi
Sachi khushi miltee nahi
Kyun nafratain ham mein barheen
Murjha gaee dil ki kali
[CHORUS end]
Sochoan mein hoon gum, ab nahi faraar
Uljhanain kaee, gham hain bay shumaar
Jo hota nahi, uska kya intezaar
Manoos si, mayoosiyoan ki raat
Kya mein karoon, apnay dil kay saath
Samjhota karoon, mustaqbil kay saath
[Repeat X]
[Repeat CHORUS]
Kis say mein kahoon, apnay dil ki baat
Kis say mein kahoon, apnay dil ki baat
No comments:
Post a Comment