Jalta Raha(c) 2006 Ahmed Arsalan
by A. Arsalan
[X begin]
Aur mein... Jalta raha
Aag kay... Sholoan mein
Unn logoan mein... Barhta raha
Barhta raha... Sholoan mein
[X end]
[Y begin]
Aur hoga kya... mujhay kya pata
Mujhay kya pata... mustaqbil ka
Phir bhee mein... aagay barhta gaya
Din nikalta gaya... sooraj dhalta gaya
[Y end]
[Z begin]
Veeranoan mein... bayaabaanoan mein
Dil kuchalta gaya... inn insaanoan mein
Sab zamanoan mein... sab zabanoan mein
Yay hee hota raha... mein bhee chalta raha
[Z end]
[CHORUS I begin]
Jalta raha
Yay dil jalta raha
Machalta raha
Phir sanbhalta raha
Milta raha
Aarzoo ka sila
Jam sa gaya
Aur pighalta raha
[CHORUS I end]
[CHORUS II begin]
Machalta raha
Phir sanbhalta raha
Yay silsila
Bas chalta raha
Yay dil mera
Aah bharta raha
Aagay barhta raha
Peechhay hatt-ta raha
[CHORUS II end]
[Repeat X]
[Repeat Y]
[Repeat Z]
[Repeat X]
[Repeat CHORUS I]
[Repeat CHORUS II]
[Repeat CHORUS I] til fade
No comments:
Post a Comment